LIKE OUR FACE BOOK PAGE

Monday 21 September 2015

AQAID E GHAUS E PAAK


 
Index :
1)      Tamheed
2)      Pesh E Lafz
3)      Hazrat Gaus E Paak
4)      Hazrat Gaus E Paak Ka Nasab Mubarak.
5)      Hazrat Gaus E Paak Ka Shajra Mubarak.
6)      Viladat K Waqt Ki Karamat.
7)      Aqeeda Ahle Hadees Kaun.
8)      Aqeeda Isthighata
9)      Aqeeda Ilm E Ghaib
10)   Aqeeda Al Waseela
11)   Aqeeda Noor Ul Bashar
12)   Aqeeda ALLAH Taala Ko Dekhna
13)   Aqeeda Namaz Me Seene Per Hath Bandhna
14)   Aqeeda Rakaat E Taraweeh
15)   Aqeeda Hazrat Gaus E Paak Muqallid Ya Gair Muqallid
16)   Kitab Gunya Tu Talibeen Ahle Hadees K Nazdeek Maotbar Hai
17)   Aqeeda Jo Inteqal Kargaye Woh Zindo Ko Pehchante Hai.
18)   Qabr Per Fatiha Karna
19)   Abdal Kaun







Aqaid E Hazrat Gaus E Aazam

Tamheed
Tamam Tarif ALLAH Taala Ki Jiska Hum Bepanah Shukr Guzar Hai K Usne Hume Apni Rehmat Se Paida Farmaya Aur Paida Farmakar Musalmaan Banaya Aur Musalmaan Banakar NABI SwallALLAHualaihiwasallam K Ummat Me Shamil Kiya Aur Hume Islam Ki Khidmat Karne Ka Mauka Diya. Alhamdulillah Summa Alhamdulillah Aaj Humne Yeh Sharaf Hasil Kiya Hai Ki Ek Risala Likhe Aqaid E Gaus E Paak Per.In Sha ALLAH Taala Hum Is Risale Me Hazrat Gaus E Paak K Aqeede Ka Zikr Karege Aur Dalail K Zer E Saaye Me Yeh Batayege Ki Hazrat Gaus E Paak Ka Jo Aqeedah Hai Wahi Aqeedah Humara Hai Yaani Ahle Sunnat Wal Jamaat Jise Duniya Sunni Barelvi K Naam Se Janti Hai.
Pesh e Lafz
Wajah Is Mauzu Per Likhne Ki Yeh Hai Ki Ek Tabka Hai Humare Ya Yun Kahe Ki Kai Tabke Hai Jo Pehle Masjidon Per Kabza Kiya Karte The ,Awam Per Karte The Aur Ab Buzurgon Per Qabza Karte Hai.
Isi Tarah In Tabko Ka Dawah Hai Ki Hazrat Gaus E Paak Unke Buzurg Hai  Aur Hazrat Gaus E Paak Ka Jo Aqeeda Hai Wohi Unka Aqeedah Hai Aur Yeh Unka Dawah B Hai , Jise Hum In Sha ALLAH Taala Ek Ek Karke Pesh Karege Aur Inka Batilana Aqeedah K Hazra Gaus E Paak Inke Buzurg Hai Iska B Parda Faash Kiya Jayega.
Woh Tabka Kaunsa Hai ?
Woh Tabka “Ahle Hadees “Aur “Deoband” Hai.
Hum In Sha ALLAH Taala Inke Aqeede Aur Hazrat Gaus Paak K Aqeede Aamne Saamne Rakhege Jisse Wazeh Hojayega Ki Ahle Hadees Aur Deoband Ka Sirf Dawah Hai Zuban Se Ki Yeh Inke Buzurg Hai Lekin Haqeeqatan Aqeeda Inse Bilkul Alag Hai Aur Ahle Hadees Wahbi Deobandi Inke Aqeede Per Chalte B Nahi , Haa Lekin Dawah Zarur Karte Hai.

Sabse Pehle Hum Hazrat Gaus E Paak K Baare Likhte Hai , Hazrat Gaus E Paak Hai Kaun.

Hazrat Gaus E Paak
Hazrat Gaus E Paak Ki Wiladat Ba Sa’adat Ramzan 1078 Esvi Yaani 470 Hijri Me Iran K Shaher Gilan Me Hui , Aapne Paida Hote Hi Karamat Dikhai Aur Basti Me Mashur Hogaya Tha K Saada’at K Ghar Aisa Baccha Paida Hua Hai Jo Ramzan Shareef Me Dhoodh Nahi Peeta.Hazrat Gaus E Paak Hasani Aur Hussaini Hai ,Yaani Aapke Walid Ka Nasab Hazrat Imam Hasan Radiallataala Anhu Ko Jakar Milta Hai Aur Aapke Walida Ka Nasab Hazrat Imam Hussain Radiallataala Anhu Ko Jakar Milta Hai.


Hazrat Gaus E Paak Ka Nasab Mubarak
Walid Ki Taraf Se,
Son Of Syed Abu Saleh Moosa Jangi Dos,
Son Of Syed Abdullah Al-Jeeli,
Son Of Syed Yahya Al-Zahid,
Son Of Syed Muhammad,
Son Of Syed Dawood,
Son Of Syed Moosa,
Son Of Syed Abdullah,
Son Of Syed Moosa-Ul-Jown,
Son Of Syed Abdullah Al-Hehadh,
Son Of HAZRAT IMAM HASAN MUJTABA (RADIALLATAALA ANHU)
Son Of HAZRAT SYEDNA ALI IBN ABI TALIB KarramALLAHu Wajhahu
Son Of Abu Talib,Son Of Abdul Muttalib,
Son Of Hasim,Son Of Abdu Munaf,
Son Of Qusai,Son Of Kilaab,
Son Of Murrah,Son Of Kaab,
Son Of Luvai,Son Of Ghalib,
Son Of Fihr (Father Of Quraish Tribe),
Son Of Malik,
Son Of Nizaarson Of Kinana,
Son Of Khuzaima,Son Of Mudrika,
Son Of Ilyas,Son Of Nadhar,
Son Of Nizaarson Of Maad,
Son Of Adnan,Son Of Owo,
Son Of Awn,Son Of Hameesaa,
Son Of Jumal,Son Of Nibt,
Son Of Kezar,
Son Of HAZRAT ISMAIL ZABEEHULLAH (Alaihis Salaam),
Son Of HAZRAT IBRAHIM KHALEELULLAH (Alaihis Salaam),
Son Of Torah,Son Of Qasir,
Son Of Sharigh,Son Of Arghoot,
Son Of Faligh,Son Of Shalikh,
Son Of Keenan,Son Of Arfakhshad,
Son Of Samm,Son Of Hazrat Hud Alaihis Salaam,
Son Of Yardd,Son Of Idris,
Son Of Mehmaial,Son Of Keenan,
Son Of Anosh,Son Of Sheeth Alaihis Salaam,
SON OF ADAM SAFIULLAH ALAIHIS SALAAM, (The Father Of Mankind)
Walida Ki Taraf Se Aap Hussaini Hai Yaani Aapka Nasab E Paak Hazrat Imam Hussain Radiallataala Anhu Tak Jaata Hai.

Hazrat Gaus E Paak Ka Shajra Mubarak
Hazrat Muhammad Mustafa صلى الله عليه و سلم
The Caliph Ali Ibn Abi Talib رضي الله عنه
Sheikh Hasan Basri رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Habib Ajami رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Dawood Taiee  رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Ma'ruf Karkhi رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Sari Saqati رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Junayd Al-Baghdadi رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abu Bakr Shibli رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abdul Aziz Al-Tamimi رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abu Al-Fadl Abu Al-Wahid Al-Tamimi رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abu Al-Farah Tartusi رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abu Al-Hasan Hakari رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abu Sa'id Al-Mubarak Mukharrami رحمتہ اللہ علیہ
Sheikh Abdul Qadir Jilani رضي الله عنه
VILADAT KE WAQT KI KARAMAAT

1.Aap Ke Walid E Maajid Hazrat Abu Saleh Musa Jangi Dost Rehmatullahi Ta'ala Alaihi Ko Huzoor Nabi Karim SwallALLAHu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Ziyarat Hui Aur Aap Ne Farmaya Aye Mere Bete Abu Saleh Tujhe ALLAH Ta'ala Ne Wo Farzand Diya Hai Jo Mera Beta Aur Mehboob Aur Khuda Ka Bhi Mehboob Hai Aur Us Ka Martaba Auliya Mein Aisa Hoga Jaisa Mera Martaba Ambiya Mein Hai.
2.Tamam Ambiya Wa Rasul Ne Aap Ke Walid-E-Majid Ko Khwab Mein Basharat Di Ki Siwaye Sahaba Aur Ambiya E Kiram Ke Tamam Auliya Awwalin Wa Aakhirin Aap Ke Farzand Ke Farma Bardaar Honge Aur Us Ki Ita'at Un Ke Darjaat Ki Bulandi Ka Baais Hogi.
3.Viladat Ki Shab Baghdad Mein Sab Ladke Paida Huwe Jin Ki Tadaad Gyara Sau (1100) Thi Aur Wo Sab Auliya E Kamileen Huwe Hain.
4.Aap Ne Tamaam Ramzan Saher Se Lekar Iftar Tak Walida Majida Ka Doodh Nahi Piya.
5.Huzoor Nabi Karim SallALLAHo Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Me'araj Ki Raat Jo Aap Ki Gardan E Mubarak Par Qadam Rakha Tha Us Ka Nishan Aap Ki Gardan Mubarak Par Maujood Tha.
6.Aap Ki Wiladat Ke Waqt Aap Ki Walida Majida Ki Umar Saath(60) Saal Ki Thi.Is Umar Mein Aap Ki Paidaish Bhi Ek Karamat Hai.Paidaish Ke Waqt Aap Ki Shakl E Mubarak Itni Ba Roab Thi Ke Koi Shakhs Aap Ko Gaur Se Dekh Na Sakta Tha Aur Aap Ko ALLAH Ta'ala Ne MAZHAR E JAMAAL E MUSTAFAAI Bana Kar Rawana Farmaya.

 Aqeeda # 1
Ahle Hadees Kaun ?
Hazrat Gaus E Aazam Ahle Hadees The Wahbiyo K Baqaul.
Al Jawaab : Alhamdulillah Humare Nazdeek Ahle Hadees Ek Muhaddiseen Ki Jamaat Hai Jinhone Laakho Hadees Sanad K Saath Hifz Ki Aur Isme Ala Hazrat Fazile Barelvi Hazrat Imam Ahmed Raza B Shamil Hai Lekin Maujuda Daur Me Jo Ahle Hadees Jamat Hai Un Ahle Hadees Ka Hadees Se Door Door Tak Ka Koi Waasta Nahi.
Balke Aaj K Ahle Hadees Ka Matlab Yeh Hai Ki Kisi Imam Ko Na Manne Wala,Jo Bilkul Aazad Hojaata Hai,Kisi Ko Sunne K Liye Tayar Nahi , Kisi Ko Bada Manne K Liye Tayar Nahi Woh Apne Aapko Ahle Hadees Bolta Hai.Yeh Alag Baat Hai Ki Uska Pesha Kuch B Ho, Chahe Woh Garage Me Kaam Karne Wala Ho Ya Paanwala Ya Kiraane Ki Dukanwala Aur Sanad K Saath Matan E Arbi K Saath Ek Arbi B Sahi Tarike Se Padhne Na Aati Ho , Lekin Uska Naam Zarur Ahle Hadees Hota Hai.
Hindustan Me Maujuda Ahle Aur Deobandi Kab Paida Hue,
Fatawa E Sanaiya Safa 414 & 415 Likhne Wale Molana Muhammad Dawood Raaz Jo Ahle Hadees K Nazdeek Bahut Maotbaar Hai.

Likhte Hai : Aage Chalkar Shah Wali Ullah Ka Silsila 2 Shaako Me Muntasim Hua  1) Shakh Hazrat Miya Sahab  Maulana Nazir Hussain Marhum Ki Bani Aur Dusri Maulana Ahmed Saheb Saranpuri Ki Bani.  Maulana Nazir Hussain K Shagirdo Ki Shak Ko Ahle Hadees Kehlaye  Aur Maulana Ahmed Ki Shak Me Maulana Rasheed Ahmed Gangohi  Aur Qasim Nanotvee  Baniya Madarsa E Deoband Hue Q K Indono Shaako Ka Makhraj Ek Hai.

Scan Page :
Fatawa e sanaiya.
2 Shaakh Bani Yaani 1) Ahle Hadees Aur 2) Deobandi

Toh Ahle Hadees Jamat Kab Bani Shah Wali Ullah K Baad.

Hazrat Miya Sahab Nazir Hussain Birth : 1805-Death:1902 , 1826 Esvi  Me Padhna Shuru Kiya Aur 1845 Tak Padhe  Shah Muhammad Ishaaq Dehlawi Se, Q K Iske Baad Shah Saab Ka Inteqal Hogaya.Aur Haa Qadyani K Mirza Ghulam Ahmed Ka Nikah B Isi Ne Padhaya Tha.
 Chalo Bilfarz Maanle Ki 1845 Me Yeh Ahle Hadees K Imam Bane , Fir B Yeh Saabit Hai Ahle Hadees Jamat Jo Aaj K Daur Me Hai Woh Abhi Ki Paidawar Hai Aur Purani Nahi.

Hazrat Gaus e Paak Ahle Hadees Hai Aur Hazrat Gaus e Paak Muhaddiseen ki Jamaat May Shamil Hai Lekin Maujuda Daur K Ahle Hadees Woh Ahle Hadees Nahi Jiska Woh Dawah Karte Hai.
Hum Aage Zarur Padhege Ki Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Aur Ahle Hadees Jo Aaj K Daur Me Hai Unka Aqeedah,Dono Alag Alag Hai,Jisse Baat Aur Wazeh Hojayegi.




Aqeeda # 2
Istamdad Karna/Isthigatha

Wahbi Deobandi Ka Aqeeda : Auliya Kisi Ki Madad Nahi Karsakte.
Al Jawab :

Kitab Ka Naam : Hazrat Thanvi K Pasandida Waqiya
Safa No.42.

Likhte Hai : “Hazrat Gaus E Aazam Radiallataala Anhu K Dhobi Ka Waqiya : Maulana Shah Fazlurrehman Sahab Se Mene Suna,Farmate The K Hazrat Gaus E Aazam Rehmatullah Alaih Ka Dhobi Jab Mara Aur Us Se Qabr Me Sawal hua k “Mann Rabbuka Wa Ma Deenuka” Toh Usne Jawab Diya K Huzur Me Toh Bade Peer Sahab Ka Dhobi Hu (Matlab Jo Mazhab Inka Hai Wahi Mera Hai) Is Per Farishte Ne Use Hass Kar Choddiya”

Dekhiye Hazrat Gaus E Paak K Naam Se Hi Farishto Ne Dhobi Ko Choddiya Aur Yeh Hakim Ul Ummat Ki Kitab Se Waqiya Humne Pesh Kiya Hai Toh Yaha Se Kai Chizein Pata Chalti Hai.
1)      Hazrat Gaus E Paak Ka Naam Sunte Hi Farishton Ne Dhobi Ko Choddiya
2)      Amal K Sabab Saza Na Mili Balke Wali K Sabab Choddiya Gaya.
3)      Gaus E Aazam Ka Woh Dhobi Tha Yaani Woh Sirf Kapde Dhone Ka Sabab Oose Yaha Azadi Mili
Hazrat Gaus E Paak Ki Madad Se Dhobi Bach Gaya.Is Aitbaar Se Wahbi Deobandi Ka Aqeeda Batil Hogaya K Wali Kisi Ki Madad Nahi Karsakte Aur Yaha Dhobi Wafat Baad B Madad Paa Raha Hai Toh Zindo Ka Aalam Kya Hoga.
Isthighasa Per Ek Aur Dalil Pesh Karta Hu.
Kitab Ka Naam Akhbar Ul Akhiyar
Safa 49.
Likhte Hai : “Hazrat Shaikh Rehmatullah Alaih Ne Farmaya K Hussain bin Mansur Hallaj K Zamana May Koi Unki Dastagiri Karne Wala Aur Jis Lagzish May Woh Mubtila Hue Isse Koi Bachane Wala Nahi Tha.Agar May Inke Zamane May Hota Toh Unki Dastagiri Karta Aur Naubat Yaha Tak Na Pahuchti.Qayamat Tak May Apne Mureedo’n Ki Dastagiri Karta Rahuga Agarche Woh Sawari Se Gehre.”
Kitab K Musaanif Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Apni Kitab Me Yeh Waqya Likhk Kar Bata Rahe Hai , Aur Apni Gawahi Hazrat Gaus E Paak K Waqya Per De Rahe Hai Ki Qayamat Tak Hazrat Gaus E Paak Apne Mureedo’n Ki Madad Karte Rahege.
Subhan ALLAH
Jab Ghulamo Ka Yeh Aalam Hai
Toh Sardar(SwallALLAHualaihiwasallam) Ka Aalam Kya Hoga.




Aqeeda # 3
Ilm E Ghaib

Wahbi Ahle Hadees Aur Deobandi Ka Aqeeda Hai Ilm E Ghaib Sirf ALLAH Taala Ko Hai.

Al Jawab :
Akhbar Ul Akhiyar , Likhne Wale Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Rehmatullah Alaih , Chapi Adbi Duniya Matiya Mahal Dehli ,
Kitab Likhi Gai Farsi Zaban Me Aur Tarjuma Kiya Hai Maulana Subhan Mehmood Sahab Ustad Ul Hadees Darul Uloom  Aur Dusre Maulana Mohammad Fazil Sahab Darul Uloom Deoband (Dono Deoband K Maulana Hai)

Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Apni Kitab Akhbarul Akhiyar Me Hazrat Gaus E Paak Ka Zikr Karte Hue Likhte Hai
“Farmaya K ALLAH Taala Ne Mujhe Likha Hua Ek Daftar Diya Jisme Qayamat Tak Aane Wale Mere Ehbaab Aur Mureedon K Naam Darj The Aur ALLAH Taala Ne Farmaya K Insabko May Teri Wajah Se Baksh Diya,Aap  Rehmatullah Alaih Ne Farmaya K Mene Daroga E Jahannam Se Jinka Naam Malik Hai Daryaft Kiya Mere Mureedon May Se Tumhare Paas Koi Hai , Jawab Diya ,Izzat Parwardigar Ki Qasam Koi Bhi Nahi.Dekho Mera Dast E Himayat Mere Mureedon Per Aisa Hai Jaise Aasman Zameen K Upar, Agar Mera Mureed Accha Nahi Toh Kya Hua,May Toh Accha Hu,Jalal E Parwardigar Ki Qasam Jabtak Mere Tamam Mureed Bahist Me Nahi Chale Jayege Me Bargahe Khudwandi Me Nahi Jauga,Aur Agar Mashrik Me Mere Ek Mureed Ka Parda E Efat Girraha Ho Aur Me Magrib Me Hu Toh Yaqeenan Me Uski Pardah Poshi Karuga”
Subhan ALLAH.
Scan Page :
Safa No. 49

Yaha B Dusre Wala Aqeeda Ka Jawab Hai Aur Teesre Wale Aqeeda Ka Jawab B Hai.
1)      Hazrat Gaus E Aazam Mashrik Me Hai Aur Magrib Me Mureed Pareshan Haal Hai Toh Aap Uski Madad Karege Ya Pardah Poshi Karege.(Yaha Madad Aur Ilm E Ghaib Dono Saabit Hoaraha Hai , Q K Aapko Kaise Pata Chala Ki Magrib Me Aapka Mureed Pareshan Hai Halake Aap Mashrik Me Maujud Hai)
2)      Qayamat Tak Aane Wale Mureedo K Naam Malum Hogaye.
3)      Mureed Bawaseela Baqsh Diye Gaye.
Aapne Padha Jo Bade Hushyari Se Apne Aapko Gaus E Paak K Chahne Wale Ahle Hadees Kehte Hai ,Unka Aqeeda Milta Hi Nahi Hazrat Gaus E Paak Se Aur Likhne Wale Barelvi Nahi Balki Woh Hazrat Hai Jo Sab K Nazdeek Maotbaar Hai (Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi)

Aqeeda # 4
Al Waseela

Wahbi K Nazdeek Waseela Najaiz , Haram , Shirk Hai.
Duniya Janti Hai Zakir Naik Ne Kaha Quran Shareef Me 25 Aayatein Hai Jo Waseele Ko Haram Kehti Hai Aur Isi Per Hafiz Ehsan Qadiri Sahab Ne Zakir Naik Ko Challenge B Diya The Ki Sirf 1 Aayat Dikhade Jo Musalman K Taluq Se Ho Aur Waseele Ko Haram Kehti Ho.
Afsos Hai Aajtak Nahi Dikha Sake.
Isi Tarah Jarjis , Tauseef Ur Rehman  ,Meraj Rabbani ,Ismail Dehlvi Yeh Sabke Nazdeek B Waseela Jayaz Nahi Aur Yeh Sab Kaun Hai ? Ahle Hadees (Wahbi) Jamat K Mashaikh Hai.
Aaye Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeedah Dekhte Hai Waseele K Taluq Se.
Scan  Page :
https://scontent-ams3-1.xx.fbcdn.net/hphotos-xfa1/v/t1.0-9/10926370_736084553165639_8694671304578476116_n.jpg?oh=b43f2ef2f36aec84f5963a790deb0877&oe=564839E8
Hazarat Allama Nooruddin Shatnaufi Rahimahullah Farmate Hai Ki Khabar Di Ham Ko Abul Hasan Bin Zakariya Bagdadi Ne. Unhone Kaha (629 Hizri) Me Ham Ko Qaziyul Qaza Abu Saleh Bin Hafiz Abu Bakr Abdurrazaq Bin Shaikhul Islam Muhayyuddin Abu Muhammad Abdul Qadir Zilani RadiALLAHu Ta’aala Anhu Ne Bagdad Me Khabar Di. Unhone Kaha Hamko Shaikh Abu Abdurrazzaq Ne Khabar Di Aur (690 Hizri) Me Hamko Shaikh Abu Muhammad Alhasan Faqiya Abu Imran Musa Bin Ahmad Bin Alhasan Karshi Shafaee Ne Kaahira Me Khabar Di. In Dono Ne Kaha Ki (613 Hizri)Me Hamko Shaikh Peshwa Abul Hasan Karshi Ne Damishq Me Khabar Di Ki Maine Shjaikh Abu Muhammad Abdul Qadir Jilani RadiALLAHu Ta’aalal Anhu Se Suna Wah Farmate The. “Jab Tum ALLAH Ta’aala Se Koi Hajat Talab Karo To Mere Wasile Se Talab Karo.” 

ISKO FAQIH E MILLAT MUFTI JALALUDDIN AHMED AMJADI NE APNI KITAB BUZURGO K AQAID ME SAFA NO. 358 ME BAHJATUL ASRAR SAFA 23 K HAWALE SE LIKHA HAI.

Aaye Ek Aur Hawala Akhbar Ul Akhiyar , Likhne Wale Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Rehmatullah Alaih , Chapi Adbi Duniya Matiya Mahal Dehli ,




Scan Page :

Likhte Hai : “Farmaya K Jab Bhi ALLAH Se Koi Chiz Maango Toh Mere Waseele Se Mango Taake Muraad Puri Ho Aur Farmaya Jo Kisi Musibat Se Mere Waseele Se Imdad Chahe Toh Uski Musibat Door Ho Aur Jo Kisi Sakhti Me Mera Naam Lekar Pukare Oose Kushadgi Hasil Ho Aur Jo Mere Waseele Se ALLAH K Saamne Apni Muraad Pesh Kare Toh Puri Ho”

Ab Asal Kitab Se Hawala Pesh Karta Hu: BAHJATUL ASRAR
Scan Page :
https://scontent-ams3-1.xx.fbcdn.net/hphotos-xpf1/v/t1.0-9/r270/10494828_1774320786126711_3569219512742134257_n.jpg?oh=83eaa021f7ddb16b49224e7d385b0b28&oe=563A9AEF

1 Hi Daleel 3 Hawalo Se Pesh Ki 1) Faqih E Millat 2)Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi 3) Bahjatul Asrar Jo Khud Hazrat Gaus E Paak Ki Kitab Hai.
Toh Pata Chala Hazrat Gaus E Paak K Nazdeek Waseela Bilkul Jayaz Hai Aur Agar Waseela Shirk Hai Toh MAZ ALLAH Kya Gaus E Paak Waseele Ki Dawat Dekar Shirk Karne Bolrahe Hai ?
Is Aqeeda May B Ahle Hadees Urf Wahbi Hazrat Gaus E Paak Ko Follow Nahi Karte Toh Kis Bina Per Hazrat Gaus E Paak Inke Buzurg Hogaye ?


Aqeeda # 5
Noor Ul Bashar

Ahle Hadees Wahbi  K Nazdeek NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ko NOOR Manna Kufr Hai,
Meraj Rabbani,Talib Ur Rehman ,Tauseef Ur Rehman Wagaira K Video’s B Youtube Per Upload Hai,Asani Se Dhund Kar Dekhe Jasakte Hai
Deobandi K Nazdeek NABI SwallALLAHualaihiwasallam Noor Hai Lekin Zaat K Aitbar Se Nahi.
Ab Aaye Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Dekhte Hai :
Kitab Ka Naam : Sirrul Asrar Wa Mazharul Anwaar , Chapi Ahle Sunnat K Maktab Se Nahi
Scan Page :

Safa No. 6

Likhte Hai : Jab ALLAH Taala Ne Jab Takhliq Karne Ka Iraada Farmaya Toh Sabse Pehle Apne Noor E Jamal Se NABI SwallALLAHualaihiwasallam K Rooh Ko Paida Kiya.Jaisa ALLAH Ka Farman Hai K Mene Sabse Pehle Apne Nabi K Rooh Ko Paida Kiya Aur Isi Tarah Nabi SwallALLAHualaihiwasallam Ne Irshad Farmaya K ALLAH Ne Sabse Pehle Meri Rooh Ko Paida Kiya ,ALLAH Ne Sabse Pehle Mere NOOR Ko Paida Kiya,Aur Sabse Pehle Qalam Ko Paida Kiya Aur Sabse Pehle Aqal Ko Paida Kiya , Saari Chizon Se Murad NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ki Haqeeqat Hai.

Yaani Hazrat Gaus E Paak Ne Likha Ki Hadees E Qudsi Me Zikr Hai K Sabse Pehle Apne Nabi K Rooh Ko Paida Kiya Aur Fir NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ki Hadees Me B Zikr Hai K ALLAH Taala Ne Sabse Apne NABI K Noor Ko Paida Kiya Aur Ek Riwayat Me Hai Sabse Pehle Qalam Ko Paida Kiya Aur Ek Riwayat Me Hai Sabse Pehle Aqal Ko Paida Kiya Lekin Akhir Me Hazrat Gaus E Paak Ne Confusion Dur Kiya Aur Bata Diya Ki Yeh Sab Chizon Se Muraad NABI SwallALLAHualaihiwasallam Hai Yaani Aaphi Ko Sabse Pehle Paida Kiya
Subhan ALLAH.
Toh Pata Chala Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Yehi Tha Jo Humara Yaani Ahlesunnat Wal Jamat Ka Hai Aur Woh Qaum Jo Apne Aapko Ahle Hadees Batati Hai Deobandi Batati Hai Aur Yeh B Kehti Hai K Hazrat Gaus E Paak Unke Buzurg Hai , Afsos Yeh Quam Hazrat Gaus E Paak K Aqeede Per Hi Amal Nahi Karte,
Balki Ahle Hadees Deobandi K Nazdeek Hazrat Gaus E Paak ALLAH K Wali Hai Aur Dusri Taraf Jo NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ko NOOR Mane Woh Kafir B Hai.
Ahle Hadees Ko Chahiye Hazrat Gaus E Paak K Aqeede Ko Qabul Karte Hue ALLAH Taalak Rasul SwallALLAHualaihiwasallam Ko Noor Mane Ya Fir Hazrat Gaus E Paak Per Fatwa Shaya Kare (MAZ ALLAH)

Aqeeda # 6
ALLAH Taala Ko Dekhna

Ahle Hadees Wahbi Deobandi K Nazdeek Jisne Kaha NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ne ALLAH Taala Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Hawala Bukhari Shareef Ki Hadees Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Ka Dete Hai.

Ab Dekhte Hai Aqeeda Hazrat Gaus E Paak Ka
Kitab Gunya Tu Talibeen , Scan Page


Yeh Kitab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.
Safa No. 178 : Scan Page :

Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) ALLAH Taala Ka Deedar Kiya Hai Jaisa K Hazrat Jabir Radiallataala Anhu Riwayat Karte Hai K NABI SwallALLAHualaihiwasallam Ne Aayat (AAP SwallALLAHualaihiwasallam Ne ALLAH Ko Dusri Martaba Dekha ,Surah Najam Aayat 13, Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.
Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas Radiallataala Anhu Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K Mohammad SwallALLAHualaihiwasallam Ne Apni Ankhon Se Do (2) Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.
Subhan ALLAH
Hazrat Gaus E Paak Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Ahle Hadees Wahbi Apne Batil Aqeede Per Qayam Rehkar Haddharmi Se Kaam Lete Hue Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Buzurg Mante Hai Lekin Hazrat Gaus E Paak Ki Ek B Nahi Mante Aur Naahi Hazrat Gaus E Paak Ka Jo Aqeedah Hai Us Per Inka Koi Amal Saabit Hai.
Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Wali Hadees Ka Jawab Dete Hai , Scan Page Safa 179

Likhte Hai : “ Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Naïf Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi SwallALLAHualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.
Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi SwallALLAHualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.
Ahle Hadees Deobandi Se Guzarish Hai Ki Aap Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Wali Mante Hai Toh Unke Aqeede Ko B Mane Aur Bilkul B Na Chode.

Aqeeda # 7
Namaz Me Seene Per Haath Bandhna

Wahbiyo K Nazdeek Namaz Me Seene Per Haath Bandhte Hai.
Ab Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Dekhte Hai Is Per.
Kitab Gunya Tu Talibeen , Scan Page

Safa No. 61

Mukhtasar Batata Hu Kya Likha Hai : A) Rafayadein Karte The , B)Haath Ko Naaf K Upar Bandhte The C) Sajda Karte Hue Ghutne Haatho Se Pehle Rakhte The.

Aap Log Soch Rahe Hoge Ki Hazrat Gaus E Rafayadein Toh Karte Hi The, Iska Jawab Yeh Hai Ki Hazrat Hanbali Silsile Se The Aur Hanbali Me Rafayadein Karte Hai Isi Tarah Shafai Me B Rafayadein Karte Hai Lekin Hanfi Me Nahi Karte,Yeh Ek Furoi Masla Hai Aur Furoi Masail Me Ikhtelaf Rehmat Hai.
Is Per Ahle Hadees Wahbi Zarur Kahega Ki Hum B Rafayadein Karte Hai Aur Hazrat Gaus E Paak B Toh Humara Jawab Yeh Hai Ki Hazrat Gaus E Paak Muqallid Hai Hazrat Imam Ahmed Bin Hanbal K, Agar Ahle Hadees B Muqallid Hokar Rafayadein Kare Toh Hume Koi Harj Nahi,Aap Zarur Kare , Lekin Hume Yaha Takleef Yeh Hai Ki Aap Apne Aapko Mujhtahid Samajkar Gair Muqallid Hokar Rafayadein Karte Hai Aur Hanfi Ko Najayaz Kehte Hai.
Aur Kamal Ki Baat Yeh Ki Hazrat Gaus E Paak K Saare Amal Ko Chodkar Sirf Rafayadein Hi Q Liya ? Hazrat Gaus E Paak Seene Per Toh Haath Nahi Bandhte The Lekin Naaf K Upar Bandhte The,Aur Wahbi Gair Muqallid Sajde Me Jaate Waqt Haath Pehle Rakhte Hai Jabki Hazrat Gaus E Paak Ghutne Pehle Rakhte The Haath Se.
In Sab Per Kab Amal Karna Shuru Karoge Wahbiyo????



Aqeeda # 8
Rakat E Taraweeh

Ahle Hadees Wahbi Taraweeh Ki Namaz Sirf 8 Rakat Padhte Hai.
Hazrat Gaus E Paak Kitni Padhte The???
Zarur Padhe Niche Scan Page K Saath.
Safa No. 393
Kya Likhte Hai : Namaz Taraweeh Ki Jamat : Jab Ramzan Ka Chand Nazar Aajaye Toh Isi Raat Se Taraweeh Ki Namaz Shuru Kardi Jaye Q K Woh Ramzan Ki Raat Hai.Taraweeh Namaz Isha K Farz Aur Fir Do(2) Sunnate Padhkar Adaa Karni Chahiye Q K Sunnat Tarika Yahi Hai.Taraweeh Ki Bees (20) Rakat Hai Har Do(2) Rakat Per Salam Pheri Jaye . Bees (20) Rakat K 4 Tarawiyah Hai Yaani Har 4 Rakaat Ka 1 Tarwiyah Isliye K Har Tarwiyah K Baad Qadree Tawakkuf Kiya Jaata Hai.
Subhan ALLAH
Ahle Hadees Ko Chahiye Kab 8 Rakat Ko Chodkar 20 Rakat Padhe Q K Gawahi Ab Hazrat Gaus E Paak Abdul Qadir Jeelani De Rahe Hai.










Aqeeda # 9
Hazrat Gaus E Paak Muqallid Ya Gair Muqallid

Wahbiyo Ahle Hadees Ka Kehna Hai Hazrat Gaus E Paak Gair Muqallid The Aur Kuch Ka Kehna Hai Jaise Adv Faiz Ka Kehna Hai Hazrat Gaus E Paak Shafai The Aur Jaisa Humne Upar B Kaha Ki Hazrat Gaus E Paak Muqallid The Hanbali Silsile Se.
Is Ki Dalil Mulahiza Kare.
Safa No. 26


Likhte Hai : Fiqhi Masail K Tahet : Aapke Bare May Ahle Ilm Ne Muttafiqa Taur Per Yeh Rai Zaahir Ki Hai K Aap Fiqhi Masail May Hanbali The , Jaisak Hafiz Zehbi Ne Sirra Ul Aalam Nabuwala 20/439 Aur Abdul Hayi Bin Ammad Hanbali Ne Shuzuraat Uzzahab 4/199 Aur Mohammad Bin Shakir Qutbi Ne Fawatul Wa Fiyat 2/295 Me Iska Tazkira Kiya Hai , Alawa Azi Khushaykh K Darj Zil Iqtaba Saath Se Bhi Wazeh Hota Hai K Woh Fiqhi Masail Me Imam Ahmed Bin Hanbal K Pairo The.

Gaur O Fikr Kare Toh Is Kitab Ka Tarjuma Karne Wala Khud Wahbi Ahle Hadees Hai Iska Naam Hafiz Mubashhir Hussain Lahori.
Aur Khud Maujuda Daur K Gair Muqallid Meraj Rabbani Ne B Kaha Hai Apni Ek Taqreer Me Jiska Naam Hai “Sirat Wa Irshadaat Shaikh Abdul Qadir Jeelani” May K Hazrat Gaus E Paak K Imam “Hazrat Imam Ahmed Bin Hanbal” Hai Aur Hazrat Gaus E Paak Fiqhi Masail Me Imam Hanbal Ki Rai Liya Karte The.Imam Ahmed Bin Hanbal K Maslak K Upar Chalne Wale The.
Toh Pata Chala Hazrat Gaus E Paak Muqallid The Hanbali Mazhab Se.

Kitab Gunya Tu Talibeen Ahle Hadees K Nazdeek Moatbar Hai

Scan Page :

Is Kitab Ko Urdu Tarjuma Me Karne Wale Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Ne Muqaddama Me Safa 19,20 Per Likha Hai.
Scan Page :

Mukhtasar Likhta Hu,
Likhte Hai : Gunya Tu Talibeen Shaikh Abdul Qadir Jeelani Jo 561 Hijri Me Fawth Hue Inhi Ki Kitab Hai.
Hafiz Ibn Kaseer Ne B Apni Tarikh Al Bidhaya 12/252 May Aur Shaikh Ibn Taymiyah Ne Apne Fatawa Jild 5 Safa 15 May Isey Shaikh Ki Tasneef Tasleem Ki Hai.
Alhamdulillah Toh Pata Chala Ki Ahle Hadees Wahbi K Nazdeek Yeh Kitab Hazrat Gaus E Paak Ki Hai Aur Yeh Inke Nazdeek Maotbaar Hai.
Yaha Tak K Meraj Rabbani Ne B Ise Apni Taqreer Jiska Naam Hai “Sirat Wa Irshadaat Shaikh Abdul Qadir Jeelani” May K Hazrat Gaus E Paak Ki Kitaab Ko Maotbaar Bataya Hai.

Aqeeda # 10
Jo Inteqaal Kargaye Woh Zindo Ko Pehchante Hai.

Ahle Hadees Wahbi Ka Aqeeda Hai Zinde Ka Inteqal Hone K Baad Duniya Se Koi Talluq Nahi Rehta,Na Murde Sunte Hai,Na Jawab Dete Hai , Na Kisi Ko Pehchante Hai.
Ab Aaye Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Padhte Hai Is Per.
Scan Page :

Safa 179 :
Likhte Hai : “Humara Aqeeda Hai K Mayyat Apne Zaara’een Ko Pehchanti Hai Bilkhusus Jab Woh Juma K Roz Tulu E Fajr Se Lekar Tulu Shams Tak Is K Paas Aate Hai”
Subhan ALLAH
To Pata Chala Jo Inteqal Kargaye Woh Zindo Ko Pehchante Hai Aur Bilkhusus Juma K Din
Ahle Hadees Ka Aqeeda Firse Baatil hua.

Aqeeda # 11
Qabr Per Fatiha Karna

Ahle Hadees Ka Manhaj Hai Ki Qabr Per Jaakar Fatiha Khwani Karna Biddat Hai,Shirk ,Haram Hai(Alag Alag Decision Alag Alag Wahbi K)

Ab Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Is Per Padhte Hai.
Scan Page :

Safa No. 128
Likhte Hai : “Qabr K Saamne Istarah Khade Hojao Jaise Iski Zindagi Me Iske Saamne Khade Hota Tha Aur Uska Ehtaram Karta Tha.11 Martaba Surah Ehklas Aur Dusri Suratein Padhkar Iska Sawab Sahib E Qabr Ko Bakshe Iska Tarika Yeh Hai K Woh Is Tarah Kahe : Aye ALLAH Agar In Surato’n Ki Tilawat K Ajar Me Mustahik Bana Hu Toh Yeh Sawab Is Qabr Wale Ko Miljaye”
Scan Page :

Alhamdulillah , Hum Sunni Isi Ko Fatiha Khwani Kehte Hai Aur Yehi Tarika Humara Hai.
Ab Ahle Hadees Wahbi Ko Chahiye Ki Woh Hazrat Gaus E Paak Ki Baat Per Amal Kare Aur Eesal E Sawab Yaani Fatiha Khwani Karwaye.

Aqeeda # 12
Abdal Kaun?

Ahle Hadees K Nazdeek Wilayat Ki Koi Iqsaam Nahi , Inke Nazdeek Qutub Abdal Wagaira Jaise Koi Category Nahi.
Hazrat Gaus E Paak Ka Aqeeda Dekhte Hai.
Scan Page :
Safa No. 258

Likhte Hai : “ALLAH  K Naam Se Shuru Karu Jisne Darya Jari Kiye Darakht Lagaye Apne Ibadat Guzar Bando Se Shaher Aabad Kiye (Inhe) Pahado Ko  Mekhe Banaya Jiski Wajah Se Zameen Apne Bashindgaan K Liye Farsh Ki Tarah Hogai,Yeh Chaalis (40) Muntakhib Abdal  Hazraat Hai Jo Parwardigar Ki Paakizgi Bayan Karte Hai , Isey Shurka’a Se Paak Saaf Gardaante Hai Yahi Duniya Me Hakim Hai Aur Qayamat K Roz Sifarish Karne Wale Hai Isliye K ALLAH Taala Ne Inhe Qaynat Ki Maslihat(Tadabbur Or Tasarruf) Aur Logo K Liye Baa’ees E Rehmat Paida Farmaya”

Subhan ALLAH
Hazrat Gaus E Paak Khud Abdal K Mutaliq Bata Rahe Hai Aur Yeh B Bata Rahe Hai Ki ALLAH Taala Ne Abdal Ka Kya Ucha Martaba Rakha Hai Aur Duniya Ka Hakim B Bataya Hai Aur Qayamat Me Sifarish B Karege.
Haq Haq Haq
Ahle Hadees Ko Chahiye K Ab Apni Baato Se Ruju Kare Aur Abdal Jinhe ALLAH Taala Ne Buland Rutba Ataa Kiya Hai Tum B Inki Taazim Karo.
END
Alhamdulillah Humne Padha Hazrat Gaus E Paak Abdul Qadir Jeelani Ka Aqeedah,Yeh Wahi Aqeedah Hai Jo Ahle Sunnat Wal Jamaat Aur Aaj Humara B Yahi Aqeedah Hai Lekin Ahle Hadees Wahbi Ki Haddharmi Hai K Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Buzurg Mante Hai Lekin Hazrat Gaus E Paak Ki Ek B Nahi Mante.
Aur Hume Yeh B Pata Chala Ki Aaj K Maujuda Daur K Ahle Hadees Deobandi Who Nahi Hai Muhaddiseen Ki Jamat Ahle Hadees Thi Balki Yeh Jamatein (Ahle Hadees , Deobandi) Aaj Ki Paidawar Hai Aur Inka Aqeedah Bilkul Ulta Hai Muhaddiseen Se Hatta Ki Humne Upar Padha B K Inka Aqeedah Hazrat Gaus E Aazam Se Milta Hi Nahi.
Ahle Hadees Ko Chahiye Ki Hazrat Gaus E Paak K Bataye Hue Aqeedah Ko B Qabul Kare Aur Un Per Amal Kare Aur Batil Se Nikal Kar Haq Ki Taraf Aajaye Aur Ahle Sunnat Wal Jamat  Me Shaamil Hojaye.
Wama Alayna Illal Balag.














No comments:

Post a Comment